[Bewa budhiya ke kahani – Hindi Poem]
kuch kate fate se kapde uske
aur pathrayi aankho ka pani….
murjhaye patto si shakl jiski
aur jeena jiska bemani….
marr gayi jo ruh..jeete jee duniya mai dilwalo ke…
us bewa budhiya ki hai ye kahani…
sard rato mai samete khud ko
sadak kinare kuch yu thi wo padi…
mano rakh gaya koi
jarjarr kapdo ki koi gathri badi…
basti thi kismat mai… jiske sirf gumnami….
us bewa budhiya ki hai ye kahani…
har musafir guzra bagal se uske
har kisi ki padi uspe nazar…
par kise ne na pucha haal uska
na jaana kis niyati..ka uski asar…
har raat jisko thi thithur ke..sirf karwato mai bitani…
us bewa budhiya ki hai ye kahani…
kitna padhe hum..fir bhi adhura raha gyan…
na samjhi manavta…chahe padha ho vigyan…
sab hota mehsus … siwa us dard ke hamai
__O__