BADALTA HAI JAB RANG PEELE GULAB KA – Hindi Poems of Love
Badalta hai jab rang… peele gulab ka….
fijaye kuch mehekne si lagti hai…
dhadkane kuch behekne si lagti hai…
shuru hota hai safar “dosti” se “pyaar” ka..
badalta hai jab rang… peele gulab ka…
jiski baate kabhi… kar deti thi pareshan…
aaj yade bhi uski… la deti hai muskan…
bhata na tha jo… ek pal ko kabhi…
aaj usi se hai wada… har kadam pe saath ka…
badalta hai jab rang…. peele gulab ka…
na jane kaise…badal jate hai jazbat…
bol kar bhi.. adhuri si reh jati koi bat…
chah kar bhi use bata nhi pate…
ki lagta hai “wo” humsafar… dil k kisi khwab ka….
Badalta hai jab rang… peele gulab ka
JO TUM HO TO MAI HU – Hindi Poems of Love
chahe bate ho teri ya
kuch teri yade…
inke siwa dil k mere ab koi
saath nahi rehta…
tujhse mil kar bichadna
mumkin nahi hota…
tujhse bichhad kar ek tere siwa
kuch yaad nahi rehta…
is kadar bus gaye ho tum
khayalo mai mere….
ki har shakhs mujhe kuch
tumsa sa lagta…
mat hona juda mjhse
safar mai zindagi k …
ki us dard ka kabhi koi
ilaaj nahi hota…
ek tere hone se mere hone ka
ehsaas hota hai…
jo tu ho saath to ek aasu bhi
khas hota hai…
mat hona dur kabhi ki wajood bhi
dhundhe nahi milega…
“jo tum ho to hum hai”
ek iske siwa dil mai
koe ehsas nae rehta
TERE PYAR MAI – Hindi Poems of Love
tere pyaar me jeene ka maza kuch aur hai…
kabhi jo dhundhte the bahane hasne ke
aaj har pal muskurane ki wajah kuch aur hai…
tere pyaar mai jeene ka maza kuch aur hai…
na tha khyal apne haal ka kabhi
aaj aayine mai niharne ki wajah kuch aur hai…
tere pyaar me jeene ka maza kuch aur hai…
na dhadka tha kabhi kisi ko dekh k ye
tujhe dekh k is dil ki raza kuch aur hai…
tere pyaar me jeene ka maza kuch aur hai…
chipte firte the ghane badlo se kabhi
aaj barish mai bhigne ka maza kuch aur hai…
tere pyaar me jeene ka maza kuch aur hai…
hogi koi imarat ishk ki is jahan mai lekin
jaha mili thi nazar unse wo jagah kuh aur hai…
tere pyaar me jeene ka maza kuch aur hai…
khushnasib hai hum jo saath hai tumhara
is jahan mai kaha tumsa koi aur hai…
tere pyaar me jeene ka maza kuch aur hai…
__END__