aankho me hai kajal,mathe pe pasina,
us bholi-bhali ladki ne muskil kiya jina.
uski hansi pe ek ,luta du mai nagina,
us bholi-bhali ladki ne muski kiya jina.
chupane se na chupega,tera husn hasina,
us bholi -bhali ladki ne muskil kiya jina.
hontho me hai jadu,vani me hai vina,
us bholi-bhali ladki ne muski kiya jina.
kano me hai jhumka,balo me safina,
us bholi-bhali ladki ne muskil kiya jina.
pairo me hai payal,hantho me hai hina,
us bholi-bhali ladki ne muskil kiya jina.
aate hi uske aata,sawan ka mahina,
us bholi-bhali ladki ne muskil kiya jina.
hai pran kiya maine,dil tujhko hi dena,
chahe pade mujhko eske liye mitna,
hai gum nahi mujhko,ger pas hai mere,
tere liye luta du mai khusiyo ka khajana.
aana hi hoga janam tujhko to mere pas,
karna hi hoga tujhko,mere pyar pe biswas.
karan nahi hai koi, tere dur jane ka,
mai ytan karuga ,tujhe ghar me lane ka,
eske liye chache, kuch v ho bahana,
hongi tu sirf meri,ye duniya ko hai dikhana.
us bholi-bhali ladki ne muskil kiya jina.
aayega jo v samne,hoga use mitna,
tu kuch v kar le janam,honga tujhe patna,
sari rukawato ko ,par ker jawuga mai,
lene k liye tujhko,tere ghar aaunga mai.
sahnaeya bajengi,khil uthega tera aangna,
sajan k liye sajni,hoga hi tujhe sajna,
jyada mai kya kahu,etna jo kah diya,
tu meri hai,tu meri hai,tu meri hai priya.
your’s
manojkumar pandey
————————————–